Khasaara - Harmeet | (Lyrics)
Dekh phir khasaara ho gaya
Ye dil hamaara kho gaya
Main phirse jaagta raha
Mera zamaana so gaya
Gam gawaara ho gaya dil-e-pasaara ho gaya
Banaaya pyaar se makaan sab kabaada ho gaya
Aap bhi kamaal karti hain
Ye kaisa haal karti hain
Ye dil mein ghar banati hain
Usse nilaam karti hain
Tu haina sunne ko ye baatein
To main gunguna hi doon
Main to shaukiya likhun
Tu hi kamaal padhti hai
Aankh bandh karke meri din ko raat kehti hain
Pata hai sach par maan loon jo jhoot aap kehti hain
Pyaar ki gawaahi to jaana hum dono dete hain
Main bas izhaar kehta hoon aur tu mazaak kehti hai
Dil diya udhaar mein wasool na saka
Betha maangne tujhe to taara toot na saka
Pyaasa rehke jis kiyaari ko main deta rehta paani
Uss kiyaari mein mere liye koi phool na bachaa
Dekh phir khasaara ho gaya
Ye dil hamaara kho gaya
Main phirse jaagta raha
Mera zamaana so gaya
Gam gawaara ho gaya dil-e-pasaara ho gaya
Banaaya pyaar se makaan sab kabaada ho gaya
Can’t we give this another try?
I’ll fix this!
I won’t repeat these mistakes again, I promise
Jab tune na suna kaha phir kagazon se na
Ki main iss dafa sambhal sakunga aasaron se na
Tum ye kitna bhi nakaaro par ye tum bhi jaanti ho
Hummein dooriyan thi jana khaali faasalo ki na
Mera dil zameer mujhko bas pukaarta raha
Aur main besharam sa tujhko tujhse maangta raha
Tu mere hote gair haath thaamta raha
Main tapti raat mein bhi betha betha kaampta raha
Bagal mein bethi ho tu phir bhi dur hi lagti hai
Bataana kaun si woh cheez hai jo tu poori krti hai
Mujhko dhoka deke jaana tu chupaana bhi na chahti
Jaana bewafaayi tak to tu adhoori karti hai
Dekh phir khasaara ho gaya
Ye dil hamaara kho gaya
Main phirse jaagta raha
Mera zamaana so gaya
Gam gawaara ho gaya dil-e-pasaara ho gaya
Banaaya pyaar se makaan sab kabaada ho gaya
Comments
Post a Comment