Safarnama - Aur | (Lyrics)
Shabe gham kyun dhalti nahi
Zindagi ye badalti nahi
Main bhi haal batata nahi hoon
Tu bhi to chehre ye padhti nahi
Mere gham ki wajah bhi hai kuch
To ye gham besabab bhi nahi
Aankhen tere hijr mein
jaagte-jaagte raahen takti rahi
Par ab tu aur main hain
Kya parwah humein bhoole
duniya ke gham
Aur hum kabhi samjhe
hain mere kandhe pe tera sar rakhna
Ye ped bhi lage humse hain,
mere saaye mein tu kabse hai
Ye khwaab bhi kitne haseen hain,
jise chaho saath wahi hai
Par tu badal gaya ho jaise shehar mein thahra raha, aayi na lehar
Tu doob gaya main
pyaasa raha, phir bhi,
phir bhi, phir bhi
Raahat ki dil ne har pal,
tu aaya nahi na teri khabar
Girte hi rahe aansu mere, phir bhi,
phir bhi ye dil tum pe fida tha
Tum kahan gum the,
tha duniya tumko samjha,
tum to samajhte
Tha Nibhana nahi to vaade na karte,
tha duniya tumko samjha,
tum hi na samjhe jaan
Ek sawaal ek jawaab,
ek qalam ek kitaab
Ek ujda chaman,
ek khilta gulaab
Kuch behta lahu,
kuch behti sharaab,
main behka rahun bas kehta rahun
Mujhe aate nahi kuch adab aadaab,
par likh dunga aap pe ghazal e janab
Main aap ki nazron mein kuch bhi nahi,
par mere liye to aap hi aap
Main bhar dunga zakhmon ko,
toote hue sapnon ko manzil unki
dikhaunga
Main ban jaunga taara ek din
laut ke phir nahi aaunga
Tum kosoge khudko,
sochoge mujhko,
kaisa tha banjara wo
Kya faayda waqt hi na aayega jab main maut ki god mein jaunga
Main tab shayar bhi kahan tha
jo tujhe ghazlon mein sajata
Paas thoda hi sahi tu reh to jaata
Main to hansta muskurata,
meri soso mein bhi na tha ki wo tera mujhse milna alvida tha
To kya hi hua thode gham hain agar,
zakhmon ke abhi mausam
hain to chal uth ja
dil tang hai agar Chahne wale tere
tere sang hain, tu thoda muskara
thode gham hain agar
Khushiyon ke chhupe kai rang hain
tu bhool ja duniya ki fikar,
bhool ja gham saare
Comments
Post a Comment