Parwaaz - Farak | (Lyrics)
Ye kaagaz bharte rehte Hain
Main duniya, likhta rehta hoon
Hawayein chalti rehti main
Patang sa udta rehta hoon
Mar chuka 100 baar fir bhi
Zinda rehta hoon
Main sab ko
de saku bas pyaar rab se Itna kehta hoon
Halaaton ki chaadar odhe baitha hu
Mera saagar mein ghar kinaaro se kehta hu
Veerana hai aangan par saavan ko na tarse
Manzil mil jayegi na milte fir ye raste
Ye manzil mil gayi to theek aur na
Mil saki to kya
Jo rasto se kara na pyaar tumne
To kara bhi kya?
Kya kamaya kya gawa du
Mitti ye sab kuch
Toot ta vo phool bhi jo
Kal khila tha khud
Jeyo na
Jeyo na
Ye raatein
Kat ti rehti hain main taare
Ginta rehta hoon
Main kuch ban ne ki chaahat mein
Hu khud bas mit ta rehta hu
Aandhi ya barsaat ho main
Chalta rehta hoon
Main sapno ka bhara shamshaan lekar
Badhta rehta hoon
Ye raste kat te rehte hain
Main gaddhe ginta rehta hoon
Comments
Post a Comment